sarhaden kitni purani kirm-khurda ho chuki hain jism ko ab kya zarurat rah gai hai ek hi kamre mein rah kar wo alag jalte jaziron mein sulagne ki ye diwaren jinhen har raat nanga zehn apni khurduri aankhon se zakhmi kar raha hai ek din phirega shayad tum bhi ab mahsus karne hi lage ho