uth ki khurshid aasman par jalwa-afshan ho gaya uth ki goya teri bedari ka saman ho gaya uth ki pahuncha chahte hain ghair manzil ke qarib tu badalta hai abhi tak karwaten ai bad-nasib uth ki jidd-o-jahd se ho teri hasti kaamyab khwab aakhir khwab hai kab tak rahega mahw-e-khwab uth ki duniya ko tere zauq-e-talab se kaam hai zindagi kya hai faqat sai-e-amal ka nam hai uth ki be-raunaq nazar aata hai ab sahn-e-chaman bulbul-o-tuti pe sabqat le gae zagh-o-zaghan uth ki jina hai to qanun-e-khuda par ghaur kar laisa-lil-insan-illa-ma-saa par ghaur kar uth ki duniya tak rahi hai pai-ba-pai teri taraf dekh chashm-e-ghaur se ek bar tu apni taraf uth ki tere hath mein iqan ki shamshir hai tu agar chahe to ye duniya tera nakhchir hai uth ki be-zauq-e-amal ye tegh bhi be-kar hai to bhi teri zindagi bhi naqsh-bar-diwar hai