is se pahle ki shab-e-mah ke thande sae garmi-e-subh-e-darakhshan se pighal kar rah jaen is se pahle ki sitaron pe ujalon ki ghata chha jae is se pahle ki ye shabnam ke guhar-ha-e-latif nazr-e-khurshid-e-zar-afshan ho jaen is se pahle ki charaghon ke chamakte moti sadaf-e-nur-e-sahar mein kho jaen is se pahle ki shab-e-hijr ka aazar ho kuchh aur siwa is se pahle ki khushi gham se badal kar rah jae tum agar chaho to aa sakte ho jawedan zist ke lamhon ko bana sakte ho