in viran ghaaron ko dekho ki yahan insaniyat ki jurat ki kahani dafn hai yahan insan ne andhi taqat se takkar li thi hamdardi ke bol sare ham-dardon ke panw ki zanjir bane the aur lutere hamare hanste hue bachchon ko kuchalte rahne ke liye aazad the ek nazar in viran ghaaron ko dekho kahin wahi ghaar to nahin jin ki ot se har roz naya sawera luteron ke liye aag ham-dardon ke liye sharm aur dabe-kuchlon ke liye ummid ki nannhi si kiran le kar ubharta hai