visal-e-mausam tumhaare abru ke ek ishaare ka muntazir hai nazar uthao aur apne raste pe khilne wale gulab dekho samaaton se kaho khamoshi nigah aur aaine ke mabain sukhan ka aaghaz kar rahi hai hawa se puchho wo kis badan ki mahak se paiham ulajh rahi hai suno ye mausam visal ka hai so us ko yun raegan na jaano agar tum izn-e-safar na doge to phir ye mausam gulab rut mein bhi zard patton ka bhes badle tumhaare aangan se ja malega aur aainon se gila karega