aaj ka din kaisa ba-raunaq hai bachcho wah wah mard budhe hon ki bachche ja rahe hain eid-gah aaj ka din hum ne paya roze rakh kar ek mah roza-daron ke liye allah ka inam hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam chand dekha hum ne kal suraj ke chhup jaane ke baad chhup gaya phir wo bhi jaldi jalwa dikhlane ke baad hum ne chilla kar kaha masjid se ghar aane ke baad id kal hi ho rahi hai ittilaa-e-am hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai nind bhi aae nahin jage khushi mein raat bhar aane wali subh par thi bas tasawwur ki nazar hum ne koshish bhi nahin ki nind ki ye man kar rat-jage ke roz aakhir nind ka kya kaam hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai ghusl kar ke aaj pahne hum ne wo kapde nae id ke din ke liye hi the jo silwae gae sath mein abbu ke hum bhi eid-gah rukhsat hue hum ne dekha har zaban par zikr-e-rab har gam hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai aaj phulon ki tarah sab ke hi chehre the khile di mubarakbaad un ko bhi the ki jin se gile koi apna ho paraya ho gale sab se mile mel ho sab se yahi to maqsad-e-islam hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai id ka khana tha subhan-allah kaisa la-jawab thin siwaiyan qorma shir aur biryani kabab hum uthe khush-zaeqa khanon se ho kar faizyab dish sewaiyon ki bahut marghub khas-o-am hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai koi daulat-mand insan ho ki ho koi gharib koi rishte-dar ham-saya ho ya koi raqib id wo hai jis mein hasil ho khushi sab ko nasib dar-haqiqat id ka 'sahil' yahi paigham hai aaj ka din hai khushi ka id jis ka nam hai