mazarat chahta hun dost main ab intizar nahin karta balki khud chal padta hun apni taraf ek poshida chap ke taaqub mein khud se bahar nikalta hun aur apne hi jaise kisi hujum ka hissa ban kar apne wajud par iktifa karta hun apni amiq raushni se naya janm lete hue khud ki bunat mein bejod hone ki kawish raegan nahin jati suno! samay ke bhed-bhao mein apna takhmina lagate hue zat ki jama-punji mein se main tumhein apni hissiyat se mustarad nahin karta bisat bhar sabr aur ek mutthi visal ke ewaz main tumhein kashid karta hun apne atraf se aur gunjaish paida karta hun tumhaari mezbani ke liye kisi aur jihat se apne-ap mein lekin mazarat main intizar nahin kar sakta apni ragon mein bahte hue us dukh ke pighalne ka jo apne bahaw mein meri tawajjoh baha le ja sakta hai apne sath main tai-shuda guzargahon ka musafir nahin mujhe to har imkan se guzar kar aana hai tumhaari samt aur han main to apna bhi intizar nahin karta hun ab!!!