waqt ki pith par kachche lamhon ke dhagon mein lipta hua shahr ki sidhiyon par sarakta hua nit nae khud-kushi ke tariqon ka mujid bana habshi raaton ke jangal mein bikhri hui lams ki haddiyan chun raha hun na jaane main kis ke liye jab mere nam ke lafz tanha the logo tumhein surkh honton ki khairaat kaise mili ye batao refrigerator mein rakkhi hui tashtari mein meri donon aankhen barahna padi thin wahan tak kisi khwab ke hath pahunche nahin kabutar ki aankhon mein tute hue aasmanon ka tanazzul na dekho badan ke shikasta khandar se nikal bhagne ke liye phir tumhaari madad ki zarurat hai mujh ko