wo nahin thi to dil ek shahr-e-wafa tha jis mein us ke honton ke tasawwur se tapish aati thi us ke inkar pe bhi phul khile rahte the us ke anfas se bhi shama jali jati thi din is ummid pe katta tha ki din dhalte hi us ne kuchh der ko mil lene ki mohlat di hai ungliyan barq-zada rahti thin jaise us ne apne rukhsaron ko chhune ki ijazat di hai us se ek lamha alag rah ke junun hota tha ji mein thi us ko na paenge to mar jaenge wo nahin hai to ye be-nur zamana kya hai tirgi mein kise dhundenge kidhar jaenge phir hua ye ki usi aag ki aisi rau mein hum to jalte the magar us ka nasheman bhi jala bijliyan jis ki kanizon mein raha karti thin dekhne walon ne dekha ki wo khirman bhi jala ek zulaikha-e-khud-agah ka daman bhi jala