ye zabta hai ki baatil ko mat kahun baatil ye zabta hai ki girdab ko kahun sahil ye zabta hai banun dast-o-bazu-e-qatil ye zabta hai dhdakna bhi chhod de ye dil ye zabta hai ki gham ko na gham kaha jae ye zabta hai sitam ko karam kaha jae bayan karun na kabhi apne dil ki haalat ko na laun lab pe kabhi shikwa-o-shikayat ko kamal-e-husn kahun aib ko jahaalat ko kabhi jagaun na soi hui adalat ko ye zabta hai haqiqat ko ek fasana kahun ye zabta hai qafas ko hi aashiyana kahun ye zabta hai kahun dasht ko gulistan-zar khizan ke rup ko likkhun farogh-e-husn-e-bahaar har ek dushman-e-jaan ko kahun main hamdam-o-yar jo katti hai sar-e-haq wo chum lun talwar khata-o-jurm kahun apni be-gunahi ko sahar ka nur likhun raat ki siyahi ko jo mitne wale hain un ke liye dawam likhun sana yazid ki aur shimr par salam likhun jo das raha hai watan ko na us ka nam likhun samajh saken na jise log wo kalam likhun darogh-goi ko sachchai ka payam kahun jo rahzan hai use rahbar-e-awam kahun mere junun ko na pahna sakoge tum zanjir na ho sakega kabhi tum se mera zehn asir jo dekhta hun jo sach hai karunga wo tahrir mata-e-har-do-jahan bhi nahin baha-e-zamir na de sakegi sahaara tumhein koi tadbir fana tumhaara muqaddar baqa meri taqdir