hath milane ki rasm tab ijad hui jab hathiyar phenkna sikha ja chuka tha aur baghlon mein chhuriyan aam hone lagi thin zindagiyon mein badlaw aaya japaniyon ne dur se jhuk kar salam kahna sikha dushman aur dost se munasib fasla hamesha banae rakkha atomi taqat se tabah kiye gae zindagiyon mein badlaw aaya ahal-e-faras ne chuhe se taun ka talluq pahchana nash ko kat kar aaza ka naqsha banaya pahli jarrahi ki aur murdon ki be-hurmati ki padash mein bu-ali-sina ko saza di zindagiyon mein badlaw aaya francisiyon ne chaalis din ka quarantine ijad kiya bandar-gahon par bimariyon ka wisa cancel hua sehat-mand insanon ko wisa milne laga zindagiyon mein badlaw aaya yahud ki mandi mein sone ke sikke insanon se kam pad gae kaghaz ka note ijad hua aur phir sab adyan ki e'tibar ki aayat ko noton par likh diya gaya zindagiyon mein badlao aaya agle nae badlao ke liye stage tayyar karne mein waba ki madad karo