jab khurshid-e-azadi ki phuti thi kiran wo din aaya chamke the ziya-e-khas se jab kohsar-o-daman wo din aaya jab qaid-e-qafas se chhute the murghan-e-chaman wo din aaya be-tegh-o-sinan jab badli thi taqdir-e-watan wo din aaya hangam-e-tarab hai ahl-e-watan hangam-e-tarab hai gham na karo aahista-rawi hi manzil hai manzil ka yunhi matam na karo bimar-e-watan ne pai hai mushkil se dawa-e-azadi kanon ko sunai deti hai har samt nida-e-azadi har khurd-o-kalan har pir-o-jawan hai aaj nida-e-azadi ye koshish sab par lazim hai daim ho baqa-e-azadi aazadi-e-nau-maulud ko ab parwan chadhao to jaanen mushkil hai badi is mushkil ko aasan banao to jaanen aghyar ki talimat pe to sar dhunna kar-e-tiflan hai aawara-mizaji ke sadqe aawara-mizaji aasan hai rah-e-pur-khar-e-amal mein jo pa-mard rahe wo insan hai sahil se use kuchh kaam nahin jo waqif-e-ishrat-e-tufan hai is yaum-e-mubarak par mil kar jai hind pukaro ahl-e-watan jo jazba-e-khidmat sust hai ab phir us ko ubhaaro ahl-e-watan