wo wada aap ka wada na ab tak ho saka pura zamin badli zaman badla magar wo wada-e-farda abhi tak ek muamma hai agarche ye haqiqat hai ki rang-e-khusrawi badla jahan-e-khud-e-faramoshi ke baadal chhat gae sare shafaq phuti kiran phuti dhanak ubhri magar suraj jo nikla subh-dam to khud apni tira-bakhti par pasheman aur magar wo wada-e-farda abhi tak ek muamma hai khabar ho aap ko shayad ki zulmat ke shikanje mein sadaqat subh ki dahliz par ghut ghut ke marti hai sahar khwab-e-pareshan hai wo wada aap ka wada na jaane kab hadis-e-dil banega aur mizan-e-sadaqat mein tulega ru-ba-ru sab ke