wade ki shab By Nazm << main kahan KHuda DhunDun TuTti hui qadron ka alami... >> wade ki shab aangan ki parchhain se tum dar sakti ho zine se utarte waqt panw mein moch bhi aa sakti hai saheliyan hathon mein mehndi racha sakti hain bahane bahut kuchh ho sakte hain mera dil patthar nahin dard bhi ho sakta hai Share on: