wafa aur ishq ke rishte bade khush-rang hote hain adaen dil-kusha in ki rasile dhang hote hain kisi mausam kisi rut mein kisi bhi shakh par aksar ye nannhi konplen ban kar chaman aabaad karte hain sakun dete hain zehnon ko dilon ko shad karte hain khuda jaane ye parwane ye mastane ye diwane murawwat ki mohabbat ki ibaadat ki bulandi se kise aawaz dete hain kise rah rah ke takte hain ye na-umid ho kar bhi kabhi munkir nahin hote ye kis ki justuju mein past hote hain na thakte hain ye rah rah kar dur bhi ek dusre ke sang hote hain wafa aur ishq ke rishte bade khush-rang hote hain