koi jazba hai na koi ehsas ab to wo hai bhi nahin mere pas jaise wo tha hi nahin mere pas jaise wo tha hi nahin koi sawal jaise wo tha hi nahin mera khayal jaise wo tha hi nahin raat ki nind jaise wo tha hi nahin mera khwab jaise wo tha hi nahin mera nasha jaise wo tha hi nahin meri sharab jaise wo tha hi nahin mera khumar jaise wo tha hi nahin subh ka nur jaise wo tha hi nahin din ka ghubar jaise wo tha hi nahin sham-e-surur jaise wo tha hi nahin meri murad jaise wo tha hi nahin lams-e-hayat jaise wo tha hi nahin ishq mera jaise wo tha hi nahin shahr-e-najat jaise wo tha hi nahin phir bhi use waqt kyun yaad kiya karta hai shaghl ijad kiya karta hai dard ko shad kiya karta hai khud ko aabaad kiya karta hai jism ke phul mein ehsas ki khushbu hai yaad hijr ki raat mein ummid ka jugnu hai yaad madh bhare nain ka wo aakhiri jadu hai yaad khud ko main bhul gaya sirf mujhe tu hai yaad jaise main tha hi nahin jaise main hun bhi nahin ishq aabaad fana-e-kul hai gul ka hasil wahi bu-e-gul hai