phul ne ishq kiya titli se aur titli thi ki mandraati rahi jaane kya soch ke ghabraati rahi sochte sochte rafta rafta zanu-e-gul pe magar baith gai jine marne ki bhi khai qasmen phir udi laut ke aai na kabhi ek din aisa hua dast-e-gul-chin mein wahi qaid hui ek sayyaad ki wo said hui aur phir sainkadon minnat ke baad fadfadati rahi aazad hui ab to wo bagh mein jaane se bahut darti hai gul pe marti thi ab bhi marti hai ek taraf phul hai pazhmurda udas sirf shabnam se nahin bujhti pyas