wahi darinda mujhe jangal se shahr le aaya yahan us ne muskurana sikha jo karta raha main dekhta raha aur apne andar hairaten jama karta raha us ne ek aurat ki chhatiyan bhanbhod dalin jis ne us ke uzw-e-tanasul aur dil ko thaka diya hai us ne aasman ki taraf dekha aur thuk nigal liya wahan use koi nazar nahin aaya mujhe pata na chalta wo lafzon mein chhup jata wahin se nahusat se muskuraata dikhai padta kabhi kabhi main ne us se jaan chhudani chahi jab main phul le raha tha us ladki ke liye jis ka dil ek phul se bhi ziyaada narm aur halka tha main ne us se jaan chhudani chahi jab dhup diwaron se utarne ka nam nahin leti thi aur lamhe unghte the main in dhup bhari diwaron mein use dafn karna chahta tha main ne us se jaan chhudani chahi jab main ne pahli bar sach bolna sikha ye use pasand nahin aaya us ne karodh mein aaina ijad kiya aur mere samne rakh diya main ne dekha wahi darinda main khud hun