guzarte waqt ke viran jaziron ki saza peshaniyon par sabt hai aazurdagi ke kil jismon mein gade hain bad-nasibi gardanon ka tauq hai aur mehnaton ke hat khali hain hawa ke sath gandum ki mahak shahron mein udti hai zakhira ghar muqaffal hain mashaqqat ka badal kadwe kasile mausamon ka zaiqa hai hum purani jholiyan phailae khwahish ke andhere raston par ulte latke chikhte hain aur khush-fahmi ki mitti par lakiren khinchte hain aasman ki samt takte hain ki shayad raat-din ke darmiyani faslon ke khatm hone ki bashaarat ho dukhon ke kaghazon pe sukh ibarat ho