bhuri aankhon wali ladki tujh se pahle mere pas bhi aati thi apne ghar ki ek ek baat sunati thi mehndi aur wismay se aari kale baalon wali ammi jalte charaghon jaise aankhon wali bahnon un ke sangtaron ki phankon jaise honton dudh ke pyalon jaise ujle galon raushan jismon sarw-qadon ke qisse sunaya karti thi mere ghar mein wo khurshid ki surat roz ubharti thi mujh se meri nazmen git aur ghazlen sunti rahti thi sweater bunti rahti thi akasr meri ghazlen ga kar mujhe sunaya karti thi chhaya ki rasiya thi wo aur chhaya rachaya karti thi tuk tuk dekha karti thi thandi aahen bharti thi aisa zahir karti thi jaise mujh par marti thi lanbi palkon wali ladki mujh se pahle ek sitar-nawaz ke pas bhi jati thi us ke rasile naghmon par nagan ki tarah lahraati thi us ki tanon aur palton par dhuan dhuan ho jati thi meindh jidhar le jati thi us samt rawan ho jati thi git ke lai badhte hi tund bagula ban jati thi takte takte goya ek hayula sa ban jati thi sampar dayan panw zamin par mar ke wo ruk jati thi ruk kar yun lahra kar girti jaise koi kanch ka pyala hath se chhute chhan se tute gir kar uthti uth kar yun jhuk jati thi jaise koi ban-basi dewi karmon ka phal bhog chuki ho dewta ke charnon mein jhuki ho masti mein dag bharne wali sambhal sambhal pag bharti thi thandi aahen bharti thi aisa zahir karti thi jaise us par marti thi takte hi takte wo ek hayula sa ban jati thi us ke rasile naghmon par nagin ki tarah lahraati thi lambi choti wali ladki sab ko dhoka deti hai mausiqi ki rasiya mausiqaron ko das leti hai