hamesha se wahi makhdush haalat ek aadhi meingni dum se lagi hai nak mein balgham bhara hai haddiyan ubhri hui hain pusht ki do roz pahle hi mundi hai un meri sardiyon ke din hain chatyal be-numu maidan mein rewad ke andar sar jhukae ghas ki ummid mein maddham shikasta chaal chalta khushk danthal aur polythene ke murda lifafon ko chabaata din dhale bade mein aata hun hamesha se wahi dozakh ki bhaari raat kohna khauf ka asrar gahri bu nukili qatliyon wale suar kutton ki lambi bhunk kohre aur andhere ki chadhai bhediyon ke dant khatra! subh-dam bade mein koi aadmi aata hai moti chhaal ki rassi gale mein dalta hai zabh-khane ki taraf chalta hai duniya apne andar mast hai arz-o-sama apni jagah maujud hain pani usi surat se dariyaon mein bahta hai pahadon ki wahi istadgi sab kuchh wahi hai hast ki sansen musalsal chal rahi hain muzmahil kamzor tangen ek duje se ulajhti dastiyan be-maegi ka aakhiri lamha zaban-e-be-zabani ek dam gardan pe tezi se chhuri chalti hai qissa khatm hota hai hamesha se yahan qurban hota aa raha hun kar-amad jaanwar hun khaal se jute sunahri un se banti hain sar ki topiyan aur gosht pakta hai