ye samundar ki mehrbani thi tum ne sahil ko chhu ke dekh liya ab hawa tum se kuchh nahin kahti mauj-dar-mauj lautte ho tum dhup mein ikhtilat karte ho aur hawa tum se kuchh nahin kahti koi bhi tum se kuchh nahin kahta sab samundar ki mehrbani hai jao barish ka ehtimam karo abr-e-awara se patang banao ab tumhaare hain khema-o-khargah dur do baadban chamakte hain kashtiyon mein diye jale honge koi sahil pe aaega is bar tum ne sote mein phir sawal kiya kaun sahil pe aaega is bar aao dariya nashin ho jaen hum ne sahil ko chhu ke dekh liya