yahi dil tha kabhi jo khun ki tarsil par mamur rahta tha dhadakta to nawed zindagi lata ab aisa hai ragon ka jal to waise hi phaila hai mere andar magar dil khun ke badle farawani se bahte dard ki gardish se jo behaal rahta hai to dhadkan tis ban kar sine mein ek wahshiyana raqs karti hai inhi do intihaon par khada ye jism-o-jaan ka silsila mera kabhi jine nahin deta kabhi marne nahin deta