parinda subh se sham tak bhatakta hai sham dhalti hai to apni panah-gah mein laut aata hai magar apne panjon mein atke khwab jangalon bayabanon wadiyon aur maidanon ko saunp aata hai khwab raat bhar idhar-udhar bhatakte hain magar aankhon ki khidkiyan un par nahin khulti khwab phut phut kar rote hain parinde ko bulate hain magar parinda laut kar nahin aata magar parinda laut kar nahin aata