wo chaalis raaton se soya na tha wo khwabon ko unton pe lade hue raat ke regzaron mein chalta raha chandni ki chitaon mein jalta raha mez par kanch ke ek pyale mein rakkhe hue dant hanste rahe kali ainak ke shishon ke pichhe se phir motiye ki kali sar uthane lagi aankh mein tirgi muskurane lagi ruh ka hath chhalni hua sui ki nok se khwahishon ke diye jism mein bujh gae sabz pani ki sayyal parchhaiyan lamha lamha band mein utarne lagin ghar ki chhat mein jade das sitaron ke sayon tale aks dhundla gae aks murjha gae
This is a great muskurane ki wajah shayari in hindi. True lovers of tulsidas shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this daant shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!