abba tum mujh ko yaad aate ho tum mujhe har ghadi rulate ho tum gae ho akela kar ke mujhe kar diya zinda tum ne mar ke mujhe banhon wali wo khatiya khali hai raat kya zindagi hi kali hai zindagi khali khali lagti hai bas yahi soch dil mein palti hai sirf tanhai dekhta hun ab jaane kya kya main sochta hun ab kaun ab hausla badhaega kaun ab pith thapthapa-e-ga kaun ab sar pe hath rakkhega mere bare mein kaun sochega kaun dega dilasa duniya mein ab rahunga main pyasa duniya mein kaun dantega ghalati karne par kaun tokega ab mujhe yaro bin tumhaare to suna sab ghar hai dil mein har waqt ek naya dar hai kaun bolega khana kha beta kaun puchhega tu kahan par hai kaun ab pyar se pukarega kaun ab zindagi sanwarega kis ke nazdik ab main baithunga dil ki baaten main kis se bolunga tum se har baat main share karta tum the to main kabhi nahin darta ab main kaise rahun be-khauf-o-khatar samne lakhon dukh khade hain satar bas yahi fikr kha rahi hai mujhe aap ki yaad aa rahi hai mujhe zindagi kis qadar akeli hai koi uljhi hui paheli hai tum ne ye zindagani di hai mujhe koi apni kahani di hai mujhe har kahani ko khatm hona hai zindagani ko khatm hona hai han magar is se pahle kya hoga sochta hun ki jaane kya hoga koi apna na tha tumhaare siwa mere dukh dard ki tumhin the dawa jab mujhe koi gham satata tha tum ko har baat main batata tha tum mujhe pyar se bithate the aur dhire se muskuraate the phir main har gham ko bhul jata tha aur phir main bhi muskuraata tha abba ab mein akela kaise jiyun itne dukh dard gham main kaise sahun meri himmat the hausla the tum zinda rahne ka aasra the tum meri himmat bhi hausla bhi gaya zinda rahne ka aasra bhi gaya ab faqat aah-o-zari hai dil mein ek nai jang jari hai dil mein dhadkanen tham ke ab dhadakti hain sansen har waqt ab phadakti hain aap ke chehre ki ziyarat ho phir mujhe aankhon se mohabbat ho aap ka chehra kho gaya hai kahan dhundhla dhundhla hua hai mera jahan tum ne is pyar se nawaza tha pyar wo koi de nahin sakta tum ne man ki kami na hone di zindagi mein nami na hone di ham-nafas tum the tum hi dil-bar the ham-safar tum the tum hi rahbar the kaun ab sidhi rah dikhaega kaun ab raste banaega kaun ab pyar se khilaega kaun aaghosh mein sulaega ab mera hath kaun thamega kaun ab mera bojh uthaega jab se duniya se tum gae abba mere sukh chain kho gae abba tanha tanha hun be-sahaara hun koi bujhta hua sitara hun mujh pe gham ka pahad tuta hai aap ka sath jab se chhuta hai beach dariya mein chhod di kashti itni jaldi batao kyon kar di ye bhi socha nahin ki kya hoga aap ka beta dubta hoga is ko ab kaun par laega ab wo dariya mein ghote khaega na-khuda tum the tum masiha the tum hi manjhi the tum hi nayya the baat ek aur hai jo karni hai zindagi is tarah guzarni hai jaise pani bina koi machhli khub tadpi bahut bahut phadki aur tadapte hue phadakte hue bas yahi kah gai wo marte hue bin sahaare koi nahin jita chahe wo sher ho ya ho chita mera har ek sahaara kho hi gaya phut kar aaj main bhi ro hi gaya pahle ammi gain ab abba gae hae ab main yatim ho hi gaya