tum tashaddud ke rawadar nahin ho lekin amn ki dil se himayat bhi kahan ki tum ne sal-ha-sal raqabat ke ye wahshi jazbe kitne gulshan ki zamin kar gae pamal magar khun-e-insan bhi hua aag ke shoale bhi uthe duriyan aur badhin aur badhin aur badhin masala sab ka baqa ka ho jahan pesh-e-nazar us ke hal karne ka andaz badalna hoga pahle hum apne tain khud hi wafadar banen aur ghairon ko bhi den dars wafadari ka sarhadon pe na koi aag ke shoale ugle tab kahin ja ke ye mahaul badal sakta hai amn aur chain ka suraj bhi nikal sakta hai amn aur chain ka suraj bhi nikal sakta hai