aziz-tar mujhe rakhta hai wo rag-e-jaan se ye baat sach hai mera bap kam nahin man se wo man ke kahne pe kuchh roab mujh pe rakhta hai yahi hai wajh mujhe chumte jhijhakta hai wo aashna mere har karb se rahe har dam jo khul ke ro nahin pata magar sisakta hai judi hai us ki har ek han faqat meri han se ye baat sach hai mera bap kam nahin man se har ek dard wo chup-chap khud pe sahta hai tamam umr wo apnon se kat ke rahta hai wo lautta hai kahin raat der ko din bhar wajud us ka pasine mein dhal ke bahta hai gile hain phir bhi mujhe aise chaak-daman se ye baat sach hai mera bap kam nahin man se purana suit pahanta hai kam wo khata hai magar khilaune mere sab kharid lata hai wo mujh ko soe hue dekhta hai ji bhar ke na jaane soch ke kya kya wo muskuraata hai mere baghair hain sab khwab us ke viran se ye baat sach hai mera bap kam nahin man se