bahut khub-surat ho tum bahut khub-surat ho tum kabhi main jo kah dun mohabbat hai tum se to mujh ko khuda ra ghalat mat samajhna ki meri zarurat ho tum bahut khub-surat ho tum hain phulon ki dali pe banhen tumhaari hain khamosh jadu nigahen tumhaari jo kante hun sab apne daman mein rakh lun sajaun main kaliyon se rahen tumhaari nazar se zamane ki khud ko bachana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amanat ho tum bahut khub-surat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunahra hai chehra tumhaara ki din hai sunahra aur is par ye kali ghataon ka pahra gulabon se nazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmae baadal farishte bhi dekhen to ho jaen pagal wo pakiza murat ho tum bahut khub-surat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai aksar shab hijr mein jo rulati hai aksar jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de jo shair ko de jae pahlu ghazal ke chhupana jo chahen chhupai na jae bhulana jo chahen bhulai na jae wo pahli mohabbat ho tum bahut khub-surat ho tum