khadi raho isi jagah isi tarah khadi raho safed barf ki chatan qatra qatra gal rahi hai galne do siyah aur tawil raat dhire dhare dhal rahi hai dhalne do meri nigah ke hisar mein yunhi khadi raho main tum se aur dur ho raha hun mujh se mat daro in ungliyon pe os ke nishan the jo mit gae labon pe ek ajnabi ka nam tha jo bujh gaya hiran ki aankh khauf ki chamak se bhi tahi hui darinde jangalon ko chhod kar kahin chale gae khadi raho isi jagah isi tarah khadi raho