main ne socha tumhein muddat se nahin dekha hai dil bahut din se hai bechain chalun ghar ho aaun dur se ghar nazar aaya raushan sari basti mein mila ek mera ghar be-khwab pas pahuncha to wo dekha jo nigahon mein meri ghum raha hai ab tak raushan kamre ke andar! aur dahliz pe tum! sun ke shayad meri chap tum nikal aai thin bijli ki tarah aur wahin ruk si gai thin! der tak! panw dahliz pe chaukhat pe rakhe donon hath baal bikhrae hue shanon par raushni pusht pe haale ki tarah sans ki aamad-o-shud thi na koi jumbish-e-jism jaise taswir lagi ho jaise aasan pe khadi ho dewi main ne socha abhi tum ne mujhe pahchana nahin bas isi soch mein le kar tumhein andar aaya pas bithla ke kiya yunhi kisi baat ka zikr tum ne baaten to bahut kin magar un baaton mein koi wabastagi-e-dil koi manus ishaara lab pe izhaar-e-khushi na koi gham ki lakir are kuchh bhi to na tha na wo hansna, na wo rona, na shikayat, na gila na wo raghbat ki koi chiz pakane ka khayal na dari la ke bichhana na wo aangan ki lipai ki koi baat na nigahon mein ye ehsas ki hum tum donon hain koi bis baras se ek sath lakh koshish pe bhi tum ne mujhe pahchana nahin main ne jaana tumhein main ne bhi nahin pahchana ek ishaare mein zamana hi badal jata hai silsila uns o rifaqat ka koi aaj bhi hai par ye hai aur koi jis se bandha hai naya rishta-e-zist main bhi hun aur koi, jis ke sath tum bhi hans-bol ke rah leti ho wo bhi thi aur koi jo wahin ruk gai us chaukhat par jaise taswir lagi ho jaise aasan pe khadi ho dewi