hubb-e-qaumi ka zaban par in dinon afsana hai baada-e-ulfat se pur dil ka mere paimana hai jis jagah dekho mohabbat ka wahan afsana hai ishq mein apne watan ke har bashar diwana hai jab ki ye aaghaz hai anjam ka kya puchhna baada-e-ulfat ka ye to pahla hi paimana hai hai jo raushan bazm mein qaumi taraqqi ka charagh dil fida har ek ka us par surat-e-parwana hai mujh se is hamdardi-o-ulfat ka kya howe bayan jo hai wo qaumi taraqqi ke liye diwana hai lutf yaktai mein jo hai wo dui mein hai kahan bar-khilaf is ke jo ho samjho ki wo diwana hai nakhl-e-ulfat jin ki koshish se uga hai qaum mein qabil-e-tarif un ki himmat-e-mardana hai hai gul-e-maqsud se pur gulshan-e-kashmir aaj dushmani na-ittifaqi sabza-e-begana hai dur-fishan hai har zaban hubb-e-watan ke wasf mein josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardana hai ye mohabbat ki faza qaem hui hai aap se aap ka lazim tah-e-dil se hamein shukrana hai har bashar ko hai bharosa aap ki imdad par aap ki hamdardiyon ka dur dur afsana hai jama hain qaumi taraqqi ke liye arbab-e-qaum rashk-e-firdaus un ke qadmon se ye shadi-khana hai