meri talash mujhe le chali hai mazi mein tumhin batao main khud ko kahan talash karun pighal pighal ke sada imtihan ki aatish mein wajud dhal gaya mera ajib sanchon mein wo ek wajud jo rishton mein kho gaya hai kahin usi wajud ko phir se kahan talash karun tarashna hai naya ek mujassama ya phir main apne gum-shuda hisson ko phir talash karun tumhin batao main khud ko kahan talash karun sawal ye hai ki tum se hi kyon mukhatib hun chalo bataun tumhein kam se kyon sawal kiya tumhin pe aa ke ruka tha mohabbaton ka safar tumhin ho aakhiri pahchan mere hone ki to kyon na tum se shurua ho ye wapsi ka safar tumhaare pyar ke badle jo pyar tum ko diya meri wafaon ne jo ikhtiyar tum ko diya wo ikhtiyar jo tum ne qafas mein dhaal diya usi qafas se rihai hai ibtida meri tumhaare nam kiya tha jo umr ka hissa ye iltija hai meri aaj mujh ko lauta do bada kathin hai meri jaan ye wapsi ka safar rihai de ke mujhe aaj mujh se milwa do