jab bhi is mulk pe aafat ki ghadi aai hai aazmaish koi jis waqt kadi aai hai jab hamein an-ginat aafat se dar lagta ho aur bigde hue haalat se dar lagta ho gham-o-alam ki pur-haul ghata chha jae sar pe mandlate hon khatraat ke gahre sae jab ghata-top andhere mein qadam chal na saken aur jab jada-e-pur-khar pe hum chal na saken dur tak jab kahin manzil ka pata bhi na mile ham-safar bhi na mile rah-numa bhi na mile kuchh andhere mein sujhai na kahin deta ho hath par hath dikhai na kahin deta ho qafila qaum ka jis waqt bhatak jata ho aur pur-haul andheron mein atak jata ho qafile walon ke qadmon ki sada bhi gum ho ek sannata ho aur bang-e-dara bhi gum ho aadamiyat se agar apna yaqin uth jae aur nairangi-e-haalat pe dil tharrae gung jazbaat ko jis waqt zaban bhi na mile nala-e-dil ko koi tarz-e-fughan bhi na mile ruh mein karb ho betabi-o-be-zari ho aur mahaul pe dahshat si ajab tari ho zahr-e-gham qaum ki rag rag mein asar kar jae be-hisi zehn mein har shakhs ke ghar kar jae al-gharaz zindagi-e-qaum mein aa jae jumud aur pad jae jab is mulk ka khatre mein wajud ain us waqt koi rah-numa aata hai aa ke bigde hue haalat bana jata hai