khizan ke jate hi rut ka pansa palat gaya hai bahaar ki khushbuon se gulshan ka zarra zarra mahak raha hai zamin ki rangat badal gai hai kabhi taghayyur jo mausamon ka nirale giton ke sath aaya to zindagi ki aziz-tar saaton ke malik bhadak uthe the palak palak par kai kahe an-kahe fasane machal gae the to qand-e-guftar mein bhi talkhi rachi hui thi faza ki aaludgi ka shikwa tha un ke lab par shunida baaton ka khauf un ke dilon mein aisa basa hua tha ki wo kisi baat par yaqin bhi na karne pate gire the un ki samaaton aur basaraton par dabiz parde kabhi jo mausam ne rukh jo badla to un ke hosh-o-hawas jage unhon ne qudrat ke rang dekhe to zindagi ka yaqin aaya bahaar ki samt laut aae