sarab-e-jaan ko jahan ki chamak samajhte rahe raha wo ruh mein hum jism tak samajhte rahe pata chala ki wo khak-e-haram ki khushbu thi ki jis ko sajde mein gul ki mahak samajhte rahe ajab thi kaifiyyat-e-jaan tawaf ke dauran hum apne aap ko rashk-e-malak samajhte rahe khuda ko dhundne ka kab hamein khayal aaya hum apni zat ko us ki jhalak samajhte rahe hasin waqt guzara khuda ke ghar mein 'adil' zamin thi zer-e-qadam hum falak samajhte rahe