waqt aur main By Nazm << waqt be-waqt supurdagi >> kal khadi ghadi ki suiyan main ne utar phenkin aur sukut mabhut ko chalta kiya phir waqt numudar hua aur bola tu chahta hai to main tere andar utar jaun khun ban kar daudun aur tu mujh se aage nikal jae Share on: