mujhe sanp sidhi ke is khel se aaj ghin aa rahi hai mere dil ke panse pe khode gae ye adad mujh ko mahdud karne lage hain bisat-e-ziyan par mere khwab ka reshmi azhdaha chaal ke pairahan ko nigalne laga hai meri jast ki sidhiyan sokhta haddiyon ki tarah bhurnhuri ho ke jhadne lagi hain khel hi khel mein sabz chaukor khane kisi qabr ki chaar diwar ban kar mera dam nigalne lage hain so ai waqt! mere muqabil khiladi aaj se tu bhi aazad hai main bhi aazad hun