mere badan ki chaar diwari ke liye khanakti hui mitti kam thi is liye khuda ne aankhon mein kanch bhar diya aur jahannam ke lapakte hue shoalon ki jalan lahu mein rakh di mere hathon mein laq-o-daq sahraon ki retili wahshat chabae hue aks ki lakiren banati rahti hai aur zehn ke riste hue patile mein din bhar bardasht ka lawa khaulta hai log apne andazon ki jutiyan mere ehsas ke darwaze pe utarte hain aur kufr ki masjid mein nange panw chale aate hain main apni zat mein itni mutassib hun ki lahjon ko un ke maslak se pahchanti hun aur kisi ba-murawwat khanqah mein majburi ka sajda nahin karti koi ghaliz muskurahat meri aankhon ko chhuna chahe to main honton pe thuk deti hun lekin sadqa-e-jariya ka surkh rumal ungli pe nahin bandh sakti