alassabah ki thi kaenat sar-ba-sujud falak pe shor-e-azan tha zamin pe bang-e-durud bahaar shabnam-asuda thi ki ruh-e-khalil farogh-e-lala-o-gul tha ki aatish-e-namrud jala rahi thi hawa bazm-e-jaan mein sham-e-tarab mita rahi thi saba lauh-e-dil se naqsh-e-jumud gulon ke rang mein thi shan-e-khanda-e-yusuf kali ke saz mein tha lutf-e-naghma-e-daud har ek jabin pe darakhshan tha nayyar-e-iqbaal har ek farq pe taban tha tala-e-masud faza-e-charkh mein daudi hui thi ruh-e-zuhur bisat-e-khak pe chhaya hua tha rang-e-numud hasin khwab se chaunke the rasmasae hue machal rahi thi hawaon mein bu-e-ambar-o-bud ye rang dekh kar aaya mujhe khayal-e-namaz meri namaz ki hai shahid-o-sharab-o-surud meri namaz ki hai naghma-e-huwal-baqi meri namaz ki hai nara-e-huwal-maujud meri namaz ki hai ishq-e-nazir-o-manzur meri namaz ki hai hubb-e-shahid-o-mashhud meri namaz ki hai ek saz-e-la-fani mari namaz ki hai ek soz-e-la-mahdud meri namaz ki hai did ru-e-na-shusta meri namaz ki hai tauf-e-husn-e-khwab-alud meri namaz nazar shaikh ki namaz alfaz yahan charagh wahan sirf sham-e-kushta ka dud yahan hai rishta-e-anfas mein tarannum-e-dost yahan latafat-e-ehsas se ziyan hai na sud fughan ki jumbish-e-aza wahan asas-e-namaz khosha ki larzish-e-dil hai yahan qayam o quud kisi maqam pe hasil nahin qarar mujhe sahar ko hun jo barahman to sham ko mahmud gharaz ki aate hi waqt-e-sahar khayal-e-namaz jabin thi pa-e-sanam par zaban pe ya-mabud! tamam raaz-e-nihan khul gae mere dil par ze-takiya-gah-e-adam ta-ba-kargah-e-wajud sar-e-niyaz se zahir hua tabassum-e-naz butun-e-khak se paida hua dur-e-maqsud utha ke phir sar-e-pur-shauq pa-e-jaanan se kaha ye main ne ki ai sarw-e-bostan-e-wajud biya biya ki tera tang dar kanar kushem ze-bosa-mehr-kunam bar-lab-e-shakar-alud mere labon ko bhi de rukhsat-e-tarana-e-hamd har ek zarra hai is waqt aashna-e-durud ye sun ke sharm se koi jawab ban na pada jhuki nigah-e-jabin ho gai araq-alud haya ne badh ke pukara ye kahishen be-kar nazar ne jhuk ke sada di ye kawishen be-sud dahan-e-yar ki darman-e-dard-e-'hafiz' dasht fughan ki waqt-e-murawwat che tang hausla bud