ai watan pak watan ruh-e-rawan-e-ahrar ai ki zarron mein tere bu-e-chaman rang-e-bahaar ai ki khwabida teri khak mein shahana waqar ai ki har khar tera ru-kash-e-sad-ru-e-nigar reze almas ke tere khas-o-khashak mein hain haddiyan apne buzurgon ki teri khak mein hain pai ghunchon mein tere rang ki duniya hum ne tere kanton se liya daras-e-tamanna hum ne tere qatron se suni qirat-e-dariya hum ne tere zarron mein padhi aayat-e-sahra hum ne kya bataen ki teri bazm mein kya kya dekha ek aaine mein duniya ka tamasha dekha teri hi gardan-e-rangin mein hain banhen apni tere hi ishq mein hain subh ki aahen apni tere hi husn se raushan hain nigahen apni kaj huin teri hi mahfil mein kulahen apni bankpan sikh liya ishq ki uftadon se dil lagaya bhi to tere hi pari-zadon se pahle jis chiz ko dekha wo faza teri thi pahle jo kan mein aai wo sada teri thi palna jis ne hilaya wo hawa teri thi jis ne gahware mein chuma wo saba teri thi awwalin raqs hawa mast ghataen teri bhigi hain apni masen aab-o-hawa mein teri ai watan aaj se kya hum tere shaidai hain aankh jis din se khuli tere tamannai hain muddaton se tere jalwon ke tamashai hain hum to bachpan se tere aashiq-o-saudai hain bhai tifli se har ek aan jahan mein teri baat tutla ke jo ki bhi to zaban mein teri husn tere hi manazir ne dikhaya hum ko teri hi subh ke naghmon ne jagaya hum ko tere hi abr ne jhulon mein jhulaya hum ko tere hi phulon ne nau-shah banaya hum ko khanda-e-gul ki khabar teri zabani aai tere baghon mein hawa kha ke jawani aai tujh se munh mod ke munh apna dikhaenge kahan ghar jo chhodenge to phir chhawni chhaenge kahan bazm-e-aghyar mein aaram ye paenge kahan tujh se hum ruth ke jaen bhi to jaenge kahan tere hathon mein hai qismat ka nawishta apna kis qadar tujh se bhi mazbut hai rishta apna ai watan josh hai phir quwwat-e-imani mein khauf kya dil ko safina hai jo tughyani mein dil se masruf hain har tarah ki qurbani mein mahw hain jo teri kashti ki nigahbani mein gharq karne ko jo kahte hain zamane wale muskuraate hain teri naw chalane wale hum zamin ko teri napak na hone denge tere daman ko kabhi chaak na hone denge tujh ko jite hain to ghamnak na hone denge aisi iksir ko yun khak na hone denge ji mein thani hai yahi ji se guzar jaenge kam se kam wada ye karte hain ki mar jaenge