waqt sab se bada kahani-kar jo azal se har chehre par aafaqi kahaniyan likh kar chehron ko lamha-ba-lamha dastan karne mein masruf ek kahani ki takmil ke liye an-ginat kirdar aasman se utarte hain siyah o safed saaton ki barish mein bhigte kore chehron par waqt saza jaza ki aisi la-zawal kahaniyan tahrir karta hai ki kitne hi chehre kaenat ke ibrat-kade mein aawezan hote hain aur kitne hi raushniyon ke istiare bante hain waqt ke pas aasman se utarti kahaniyon ke an-ginat dher lage pade hain jinhen likh kar use chehron ki kitni hi adhuri kitaben mukammal karni hain