ye waqt kya hai ye kya hai aakhir ki jo musalsal guzar raha hai ye jab na guzra tha tab kahan tha kahin to hoga guzar gaya hai to ab kahan hai kahin to hoga kahan se aaya kidhar gaya hai ye kab se kab tak ka silsila hai ye waqt kya hai ye waqiye hadse tasadum har ek gham aur har ek masarrat har ek aziyyat har ek lazzat har ek tabassum har ek aansu har ek naghma har ek khushbu wo zakhm ka dard ho ki wo lams ka ho jadu khud apni aawaz ho ki mahaul ki sadaen ye zehn mein banti aur bigadti hui fazaen wo fikr mein aae zalzale hon ki dil ki halchal tamam ehsas sare jazbe ye jaise patte hain bahte pani ki sath par jaise tairte hain abhi yahan hain abhi wahan hain aur ab hain ojhal dikhai deta nahin hai lekin ye kuchh to hai jo ki bah raha hai ye kaisa dariya hai kin pahadon se aa raha hai ye kis samundar ko ja raha hai ye waqt kya hai kabhi kabhi main ye sochta hun ki chalti gadi se ped dekho to aisa lagta hai dusri samt ja rahe hain magar haqiqat mein ped apni jagah khade hain to kya ye mumkin hai sari sadiyan qatar-andar-qatar apni jagah khadi hon ye waqt sakit ho aur hum hi guzar rahe hon is ek lamhe mein sare lamhe tamam sadiyan chhupi hui hon na koi aainda na guzishta jo ho chuka hai jo ho raha hai jo hone wala hai ho raha hai main sochta hun ki kya ye mumkin hai sach ye ho ki safar mein hum hain guzarte hum hain jise samajhte hain hum guzarta hai wo thama hai guzarta hai ya thama hua hai ikai hai ya bata hua hai hai munjamid ya pighal raha hai kise khabar hai kise pata hai ye waqt kya hai ye kaenat-e-azim lagta hai apni azmat se aaj bhi mutmain nahin hai ki lamha lamha wasia-tar aur wasia-tar hoti ja rahi hai ye apni banhen pasarti hai ye kahkashaon ki ungliyon se nae khalaon ko chhu rahi hai agar ye sach hai to har tasawwur ki had se bahar magar kahin par yaqinan aisa koi khala hai ki jis ko in kahkashaon ki ungliyon ne ab tak chhua nahin hai khala jahan kuchh hua nahin hai khala ki jis ne kisi se bhi kun suna nahin hai jahan abhi tak khuda nahin hai wahan koi waqt bhi na hoga ye kaenat-e-azim ek din chhuegi is an-chhue khala ko aur apne sare wajud se jab pukaregi kun to waqt ko bhi janam milega agar janam hai to maut bhi hai main sochta hun ye sach nahin hai ki waqt ki koi ibtida hai na intiha hai ye dor lambi bahut hai lekin kahin to is dor ka sira hai abhi ye insan ulajh raha hai ki waqt ke is qafas mein paida hua yahin wo pala-badha hai magar use ilm ho gaya hai ki waqt ke is qafas se bahar bhi ek faza hai to sochta hai wo puchhta hai ye waqt kya hai
Please share if you liked this!!!