waqt katib hai to mistar chehre jab se tahrir-shanasi meri taqdir hui wo maani pas-e-alfaz nazar aate hain jin ko pahchan ke dil darta hai aur har chehre se ek hi chehra ubhar aata hai jo mera chehra hai aur imroz ka aaina ye kahta hai ki dekh aadmi-zade teri umar ki sham aa pahunchi sar pe ab rakh utar aai hai barf kanpatiyon par sal-ha-sal ke aalam se chehra jaise waraq-e-khasta pe pechida lakiron ka hujum harf-e-ummid-o-raja dagh-e-girya ki girah mein gum hai naqsh umangon ke tamannaon ke dukh ke dhabbon ne daba rakkhe hain aaj ek umr ke aadarsh ki taswir jo dhundlai hai us ki tohmat meri kam-koshi ke sar aai hai meri khamoshi ke sar aai hai lafz zanjir hua khauf-e-darban hai tazabzub zindan zindagi jabr-e-musalsal ke sabab sar-nigun sayon ka sahra-e-sukut ab kharabaat mein khakistar-e-khwab dhundhti phirti hai hone ka subut wo bhi the jo inhin dushwar guzargahon se mishal-e-harf liye parcham-e-himmat thame apne khwabon ke taaqub mein rawan be-khatar jaan se guzar jate the main yahan sard salakhon se laga takta hun is bayaban mein bhi kuchh khwabon ke rasiya chehre parcham-e-harf liye nikle hain dar raha hun ki agar jaan se na guzre to tazabzub ke siyah zindan mein wo meri tarah pashiman honge