suno tumhaara jurm tumhaari kamzori hai apne jurm pe rang-birange lafzon ki be-jaan ridaen mat dalo suno tumhaare khwab tumhaara jurm nahin hain tum khwabon ki tabir se dar kar lafzon ki tarik gupha mein chhup rahne ke mujrim ho tum ne hawaon ke zine par panw rakh kar qaus-e-quzah ke rang samete aur khalaon mein udte farzi taron sayyaron ki baaten kin tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne subh ki pahli shokh kiran se sargoshi ki tum mujrim ho us aangan ke jis mein shayad ab bhi tumhaare bachpan ki masum shararat zinda hai tum mujrim ho tum ne apne panw se lipti mitti ko ek izafi chiz samajh kar jhad diya