chalo hum eid manaen ki jashn ka din hai khushi ke git sunaen ki jashn ka din hai rukhon pe phul khilaen ki jashn ka din hai dilon mein prit jagaen ki jashn ka din hai magar ruko zara thahro ye siskiyan kaisi khushi ki rut mein dukhon ki ye badliyan kaisi suno ye ghaur se maen bilak rahi hain kahin ye dekho bachchon ki aankhen chhalak rahi hain kahin kisi ke eid ke jode mein hai kafan aaya kahin pe zakhmon se lipta hua badan aaya koi to khilne se pahle kali ko lut gaya kahin darakht hi apni zamin se tut gaya kis ne kar diye pamal saya-dar shajar jaden kahin pe katin aur kahin bache na samar kahan hain wo ki jo khud ko khuda samajhte hain wo jo ki amn-o-aman ke fasane kahte hain wo jin ke hath mein rahta hai parcham-e-insan hue hain un ke sab afkar-e-amn ab uryan agar hain sahab-e-kirdar to zaban kholen agar hain sahab-e-iman to phir wo sach bolen hain muqtadir to bas ab rok len husam-e-jaur ye bahti khun ki nadiyan musibaton ka daur pa un se koi umid-e-wafa kare kaise jo ba-dua ho mujassam dua kare kaise jahan mein chaar taraf chikh hai karahe hain sitam-rasida dilon se nikalti aahen hain hai shor-e-nala-o-ah-o-buka chahaar taraf kahan ki eid hai matam bapa chahaar taraf manae kaise koi eid har taraf gham hai manae kaise koi eid aankh pur-nam hai sunae kaise koi git saz tut gae jagae kaise koi aas apne chhut gae magar ye eid ka din bhi to ek haqiqat hai ki wajh-e-eid samajhna bhi ek ibaadat hai chalo ki rote huon ko hansa ke eid manaen kisi ke dard ko apna bana ke eid manaen dilon se apne adawat mita ke eid manaen kisi ke lab pe tabassum saja ke eid manaen