zindagi ka bahut waqt zaea hua zindagi ko samajhte hue ek raste pe girte sanbhalte hue waqt ko qaid karne ki koshish rahi koi lamha magar hath aaya nahin kitne lamhe kisi ajnabi pal ko banne mein zaea hue ye jo lamhe gae in ki buniyaad par jaisi sochi thi waisi ya nazdik-tar ek imarat khadi ho gai khair jab tak nazar bhar ke mein dekhta chand lamhe jo guzre to dhah bhi gai jaise mitti mein mitti ka milna hua jaise lohe se lohe ka katna hua jaise pani ko pani nigal jata hai waise lamhon ne lamhon ko chhu kar diya waqt ko waqt ki aisi choten lagin koi mazi na maujud kuchh bhi nahin sirf main rah gaya wo hi raste pe girte sanbhalte hue zindagi ko samajhte hue aane wale palon se kahin be-khabar zindagi ka bacha waqt bhi zaea karte hue