dawat bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma chaman ki god mein aa kar sama bhi ja salma kali kali mein bahaaren basa bhi ja salma mujhe junun ka sabaq phir padha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma milenge hashr mein mat kah ye bar bar mujhe ho kaise hashr ke wade pe e'tibar mujhe khuda ke dil pe nahin koi ikhtiyar mujhe khuda ko man yahin hashr utha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar riyaz-e-khuld ki baaton ka e'tibar na kar fareb wada-e-farda mita bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma kise khabar hai qayamat mein hum milen na milen faza-e-rauz-e-jannat mein hum milen na milen kashakash-e-abadiyyat mein hum milen na milen kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma ganwa na sog mein apne shabab ki raaten nazar na aaengi phir mahtab ki raaten ye nikhaton ka hujum aur ye khwab ki raaten faza mein khwab-e-hasin ban ke chha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma khabar le jald ki umr-e-aziz fani hai sara-e-dahr ki har chiz aani-jaani hai ba-rang-e-abr-e-rawan fasl-e-naujawani hai chhalakne wala hai saghar pila bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma kise khabar ye ghataen rahen rahen na rahen ye nikhaten ye hawaen rahen rahen na rahen ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen sharab-e-wasl ka saghar pila bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma sabaat-e-ahd zamane mein kisi ne paya hai zamana rang badalne ko rang laya hai bahaar-e-umr-e-rawan baadalon ka saya hai bahaar-e-umr ki khushiyan mana bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma tere khayal ko dil mein basae baithe hain khudai ho ki khuda ho bhulae baithe hain surur-e-ahd-e-jawani lutae baithe hain tu aa ke qadr-e-jawani sikha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma ye fasl aur ye bahaaren nazar na aaengi phir ye baadalon ki qataren nazar na aaengi phir ye halki halki phuwaren nazar na aaengi phir sharab-e-aish-e-masarrat lundha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma bata tu kya ye nazare ujad na jaenge ye naddiyan ye kinare ujad na jaenge ye chand aur ye kinare ujad na jaenge sitara-war shuaen luta bhi bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma ghamon pe ki hain fida shadmaniyan hum ne khuda ke nam pe taj din jawaniyan hum ne guzar di hain yunhi zindaganiyan hum ne dam-e-akhir tu gham se chhuda bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar ye kohsar dil-e-juebar ke manzar nazar na aaenge phir ye bahaar ke manzar abhi saman hai bahaaren dikha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma khabar le jald ki bahki hui bahaar hai aaj nashat-e-khuld se mamur sabza-zar hai aaj ajal pe bhi meri hasti ko ikhtiyar hai aaj ghurur-e-ishq ki himmat badha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma tu hukm de to sitaron ko chhin laun main falak se us ke nazaron ko chhin laun main iram ki mast bahaaron ko chhin laun main khudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar dun kham-e-tarab mein kham-e-asman ko gum kar dun dui ho fard to donon jahan ko gum kar dun ba-rang-e-ruh badan mein sama bhi ja salma bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma