hum dinon ikatthe rahte hain ikatthe sote hain hamare dukh sukh ek hain hamari aanhken ek dusre ke khwab dekh leti hain hum kahin bhi hon ek dusre ke namon se jaane jate hain hamare ghar aane wale apni dastak mein donon ka nam shamil kar lete hain din ke pahle hisse mein hamari aanhken ek dusre ko khush-amdid kahti hain ab lafz hamare darmiyan chup rahte hain hamari sanson ka rhythm jism ki harakat se ek dusre ke hone ka itminan dilata hai hum akasr ab ek dusre ki nind so lete hain lekin is ke bawajud akasr gahri raaton mein hamare dil apne apne sinon mein alag alag dhadakte hue sunai dete hain