na jaane kitni sadiyon se zamana misal-e-mauj bahta aa raha hai sukun ka rang us ko kab mila hai pareshan hai ye kyun kis ko pata hai ye betabi har ek lamhe ki kya hai kabhi aisa bhi hota hai ki dariya liye tufan hazaron apne andar sukun se par nazar aata hai bahar kabhi aisa bhi hota hai zamana kashakash se bhara hota hai lekin nazar aata hai ek nuqte pe sakin zamana kab magar sakin raha hai ki chalta hi raha hai ye zamana dama-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha kabhi aisa bhi hota hai ki rahi nazar aata hai kuchh rukta hua sa hirasan muzmahil thakta hua sa magar rahi safar mein kab ruka hai ki rahi zindagi ka gar rukega yaqinan apni manzil par rukega magar ye zindagi to be-karan hai nigah-e-shauq ki manzil kahan hai ki har manzil faqat wahm-o-guman hai ye hasti jehd-e-gham ki dastan hai ba-zahir hai subuk raftar-o-kamzor ghanim-e-shauq ho madd-e-muqabil to us ka har-nafas aatish-fishan hai hai yun to zindagi kitni subuk-rau ajab ek ek lamhe ki tag-o-dau ye ek lamha guzarta hi nahin hai magar jab is nazar ke samne se guzarti hai khirad bijli ki surat dikha kar ek anokha sa karishma to yun mahsus hota hai ki jaise zamana kitna aage ja chuka hai zamana aur bhi aage badhega liye baham subuk-raftar lamhe guzarta jaega sadiyon ko raunde khirad ki rahnumai ke sahaare